Start using all means like a newspaper, agents, matrimonial sites and technology (WhatsApps etc) in your search.

suggest you use

http://www.easynikah.in
http://www.easyrishtay.com/payment.php
http://www.simplymarry.com


here you can exchange contact numbers and start contacting groom/bride relatives. Be careful about fraud profiles.



Tuesday 20 December 2016

hadith-kisi-bhi-shaksh-ko-apne-bhai-ke

Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: kisi bhi shaksh ko apne bhai ke Paigham–e- nikah par paigham nahi bhejna chahiye 
Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne Kisi ke bhaav(boli)  par bhaav (boli) laganey (Jiyada keemat offer karne) se mana farmaya hai aur kisi shaksh ko apney bhai ke Paigham–e- nikah par paigham nahi bhejna chahiye yahan tak ki paigham bhejne wala apna irada badal le ya use  paigham bhejne ki ijazat de de.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5142 
----------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Umar Radi AllahuAnhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam decreed that one should not try to cancel a bargain already agreed upon between some other persons (by offering a bigger price). And a man should not ask for the hand of a girl who is already engaged to his Muslim brother, unless the first suitor gives her up, or allows him to ask for her hand.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 73

Monday 19 December 2016

hadith-waleema-ka-wo-khana-badtareen

Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Waleema ka wo khana badtareen khana hai jismein sirf maaldaron ko dawat di jaye
Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki waleema ka wo khana badtareen khana hai jismein sirf maaldaron ko dawat di jaye aur mohtajon ko na khilaya jaye aur jisney waleema ki dawat Qubul karney se inkar kiya usney ALLAH aur uskey Rasool (Sallallahu Alaihi wasallam) ki nafarmani ki
Sahih Bukhari, Vol 6, 5177
-----------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhu: The worst food is that of a wedding banquet to which only the rich are invited while the poor are not invited. And he who refuses an invitation (to a banquet) disobeys ALLAH and His Apostle.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 106

Hadith: kisi kuwari ladki ka nikah us waqt tak na kiya jaye jab tak us se ejazat na le li jaye

Bismillahirrahmanirrahim
Hadith:  kisi kuwari ladki ka nikah us waqt tak na kiya jaye jab tak us se ejazat na le li jaye
Abu hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kisi kuwari ladki ka nikah us waqt tak na kiya jaye jab tak us se ejazat na le li jaye
Sahih Bukhari, Vol 8, 6968
---------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "A virgin should not be married till she is asked for her consent
Sahih Bukhari, Vol. 9, Book 86, Hadith 98

Istikhara karne ka tareeqa

Bismillahirrahmanirrahim
✦Istikhara karne ka tareeqa
Jabir bin Abdullah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam  humko apne tamam kaamo mein istikhara karne ki is tarah taalim dete they jis TARAH  quran ki koi surah sikhlaate. Aap Sal-Allahu Alaihi farmate ki jab koi  ahem muaamla tumahre samne ho to farz ke alawa do rakat Nawafil parhne ke baad ye dua parhe
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ،
 فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ،
اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي
 عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ )ـ فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ)
 وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي
وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي  (فِي  أعَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ) ـ
 فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ،
 وَاقْدُرْ لِي الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِي بِهِ
✦Allahumma inni astakhiruka biilmika, Wa astaqdiruka bi-qudratika, Wa as'alaka min fadlik-al-`azeem Fa-innaka taqdiru Wala aqdiru, Wa taalamu Wala aalamu, Wa anta Allamulghuyub. Allahumma, in kunta taalam anna hazal amra khairun li fi dini wa maashi waaqibati Amri (ajili `Amri wa'ajilihi) Faqdirhu wa yas-sirhu li summa barik li Fihi,
Wa in kunta ta'lamu anna hazal amra shar-run li fi dini wa ma'ashi wa'aqibati `Amri ( fi ajili `Amri wa ajilihi) Fasrifhu anni wa asrifni anhu. Waqdur li al-khaira haitsu kana Summa ardini bihi.'
✦Tarjumah: Eh mere Allah ! Main  tujhse tere ilm ki badolat khair talab karta hu aur teri qudrat ki badolat tujh se taaqat mangta hu aur tere fazal e azeem ka talabgaar hu ke qudrat to hi rakhta hai aur mujhe koi qudrat nahi. ilm tujh hi ko hai aur mein kuch nahi jaanta aur to tamam posheeda baton ko janne wala hai.  Eh mere Allah  agar to jaanta hai ke ye kaam jis ke liye istikhara kiya ja raha hai mere deen duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se mere liye behtar hai (ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh behtar hai ) to isko mere liye naseeb kar aur is ka husool mere liye aasaan kar aur phir is mein mujhe barket ataa kar aur agar to jaanta hai ke yeh kaam mere deen, duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitbaar se bura hai. (ya mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitbaar se yeh bura  hai )  to usko mujh se dur kar de aur mujhe bhi is se dur kar de. phir mere liye khair muqaddar farma de, jahan bhi woh ho aur is se mere dil ko mutmaen bhi kar day
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke is kaam ki jagah apne kaam ka naam le .
Sahih Bukhari, Vol 2,1166
-----------------------------
✦ईस्तिखारा करने का तरीका
-------------------------------------
✦जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम हमको अपने तमाम कामों में ईस्तिखारा करने की इस तरह तालीम देते थे जिस तरह क़ुरान की कोई सुराह सिखलाते. आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम फरमाते की जब कोई ख़ास मुआमला तुम्हारे सामने हो तो फ़र्ज़ के अलावा दो रकात नवाफ़िल पढ़ने के बाद ये दुआ पढ़े
✦अल्लाहुम्मा ईन्नी अस्तख़िरूका बि इलमिका, वा अस्तकदिरुका बी-क़ुदरतिका, वा अस'अलाका मिन फद्लिक-अल-`अज़ीम फा-इन्नका तक़दीरू व ला अक़दीरू, वा ताअलामू व ला आलमू, वा अन्ता अल्लामुल गुयुब. अल्लहुम्मा इन कुन्ता ताअलम अन्ना हाज़ल अमरा ख़ैरून ली फ़ि दिनी वा माशी वा आक़िबती अमरी (आजीली`अमरी वा आजीलीही) फअक़दिरहु वा यस-सिरहु ली सुम्मा बारीक ली फीही,
वा इन कुन्ता ताअलामू अन्ना हाज़ल अमरा शर्री ली फ़ि दिनी वा मा'आशि वा'आक़िबती `अमरी (फ़ि आजीली `अमरी वा आजीलीही) फसरिफहू अन्नी वा असरिफ़्नी अन्हु. व अक्दुरली अल-खैरा हयसू काना सुम्मा अर्दिनी बिही
✦तर्जुमा: एह मेरे अल्लाह ! मैं तुझसे तेरे इल्म की बदौलत खैर तलब करता हू और तेरी क़ुदरत की बदोलत तुझ से ताक़त माँगता हू और तेरे फ़ज़ल ए अज़ीम का तलबगार हू के क़ुदरत तो ही रखता है और मुझे कोई क़ुदरत नही. इल्म तुझ ही को है और में कुछ नही जानता और तो तमाम पोशीदा बातों को जानने वाला है. एह मेरे अल्लाह अगर तो जानता है के ये काम जिस के लिए इस्तिखारा किया जा रहा है मेरे दीन दुनिया और मेरे काम के अंजाम के ऐतबार से मेरे लिए बेहतर है (या मेरे लिए वक़्ती तौर पर और अंजाम के ऐतबार से यह बेहतर है ) तो इसको मेरे लिए नसीब कर और इस का हुसूल मेरे लिए आसान कर और फिर इस में मुझे बरकत अता फरमा और अगर तो जानता है के यह काम मेरे दीन , दुनिया और मेरे काम के अंजाम के ऐतबार से बुरा है. (या मेरे लिए वक़्ती तौर पर और अंजाम के ऐतबार से यह बुरा है ) तो उसको मुझ से दूर कर दे और मुझे भी इस से दूर कर दे. फिर मेरे लिए खैर मुक़द्दर फ़ाफरमा दे, जहाँ भी वो हो और इस से मेरे दिल को मुतमईन भी कर . “. आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया के इस काम की जगह अपने काम का नाम ले .
सही बुखारी, जिल्द 2,1166
--------------------------
Narrated Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu 
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  used to teach us the way of doing Istikhara (Istikhara means to ask Allah to guide one to the right sort of action concerning any job or a deed), in all matters as he taught us the Suras of the Qur'an. He said,
"If anyone of you thinks of doing any job he should offer a two rak`at prayer other than the compulsory ones and say (after the prayer):
 'Allahumma inni astakhiruka bi'ilmika, Wa astaqdiruka bi-qudratika, Wa as'alaka min fadlika Al-`azlm Fa-innaka taqdiru Wala aqdiru, Wa ta'lamu Wala a'lamu, Wa anta 'allamu l-ghuyub. Allahumma, in kunta ta'lam anna hadha-lamra Khairun li fi dini wa ma'ashi wa'aqibati `Amri (or 'ajili `Amri wa'ajilihi) Faqdirhu wa yas-sirhu li thumma barik li Fihi, Wa in kunta ta'lamu anna hadha-lamra shar-run li fi dini wa ma'ashi wa'aqibati `Amri (or fi'ajili `Amri wa ajilihi) Fasrifhu anni was-rifni anhu. Waqdir li al-khaira haisu kanashumma ardini bihi.
 (O Allah! I ask guidance from Your knowledge, And Power from Your Might and I ask for Your great blessings. You are capable and I am not. You know and I do not and You know the unseen. O Allah! If You know that this job is good for my religion and my subsistence and in my Hereafter--(or said: If it is better for my present and later needs)--Then You ordain it for me and make it easy for me to get, And then bless me in it, and if You know that this job is harmful to me In my religion and subsistence and in the Hereafter--(or said: If it is worse for my present and later needs)--Then keep it away from me and let me be away from it. And ordain for me whatever is good for me, And make me satisfied with it). The Prophet (ﷺ) added that then the person should name (mention) his need.
Sahih Bukhari,  Book 21, Hadith 263
Please feedback .....
Blog achcha lage to dua aur comments jarur kijiyega - Jazakallahu khairan

Sunday 18 December 2016

Akhir Rishta jamta kyu nahi hai?

Assalamu alaikum, aksar hume dekhne me Aata Hai ke ladke wale ladki ko dekhne aate Hai aor chale jate Hai. Aor koi jawab nhi dete. Ya aapke aor hamare saath bhi hota Hai.  Lekin humne Kabhi ye socha nhi ke Akhir mana q karte Hai ladke wale.
Toh chaliye is baat par hum kuch gaor kare.
1. Ladki ke rishta ke lye jab uski photo tanveer nikal jati Hai Studio me us waqt photographer photoshop software ki madad se us ladki ko itna khubsurat aor Gora kya jata hai jisse wo bahot zyada khubsurat dikhai deti. Aor kbhi kbhi ye bhi dekhne me Aata Hai black ko puri Tarah white kar dya jata hai.
              Jab ladke wale ladki ko dekhne Ghar aate Hai us waqt unke dimaag me ek tasveer pehle se chapi hoti Hai jo unho ne photo me dekhi thi. Lekin jab ladki dekhne ke baad unhe us jaisi nhi dikhaye deti Hai to ladke wale mana kar dete Hai.
Is se hota ye Hai ladki ki natural beauty to chup jati hai aor  photo shop ke chakar me dono ka nuksaaan hota Hai. Ladki walo ko nashte pani ka aor ladke walo ko time &  traveling ka.
Suggestion: jitna ho sake natural photo hi nikalna chahiye.

2. Ladkiyo ki shadi me deri waqai ek masla Hai lekin is masla ka Walid Sahab jahez (dowry)  nhi Hai. Na iske wahid zimmadar ladke wale Hai.
Maine dekha Hai ke aise aadhe se zyada maamlaat me ladki wale zimmadar hote Hai. Hota ye Hai ke Ghar ke Har fard ka dulhe ke lye ek meyar Bana hota Hai. Dad chahta Hai ek acha dindaar ladka mile. Maa chahti Hai ladka paise wala mile jaha meri beti raat kare. Ladki chahti Hai handsome ho. Aisi aisi Requirment hoti Hai ladka educated ho, caring ho, smart ho, deendar ho, well settled ho, choti family ho, namazi ho etc. Ye Sare meyarat rakh kar rishta dhundte Hai, rishte aate Hai aor kisi na kisi wajha se reject ho jate Hai.
Ladki ki Umar bhi Rishto ko reject karne k saath saath badhti jati hai aor naubat yaha tak aajati Hai k ladki baaji se aunty ban jati hai. Aor phir..... 

3. Samaji tor par dekhne ko ye milta Hai ladke ka thopda dekhne layeq bhi nhi hota aor ladke ko pari jaisi Dulhan hi chahiye hota Hai.
Ye samajhne ki zarurat hai ke kabhi kisiko muqammal Jahan nhi milta. Duniya me rehkar duniya walo se hi rishta karna hoga na?  Hamare bacho ki shadi ke lye aasman ki pari ya farishta toh nhi utrega.


Blog acha lage comments zarur kare.
Note: Personally ise koi na le. Jazakallah

Hadith: Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai

Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai uske maal ki wajah se , uske khandani sharaf ki wajah se, aur uski khubsurti ki wajah se aur uske Deen ki wajah se , to tum Deendar (religious) aurat se nikaah karke kaamyabi haasil karo aur aisa na karoge to tumhare  hathon ko mitti lagegi (yani baad mein tumhe nadamat hogi)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5090

------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam said, "A woman is married for four things, i.e., her wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 27: 

Saturday 17 December 2016

Condition for Nikah

THE Prophet (PBUH) is reported to have said, “The nikah is my Sunnah”, meaning that getting married and performing the nikah is not just a legal formality, but also an important example of the Prophet. This fact does not detract from the importance of the act of getting married, but it clarifies that a person who is not able to get married has not committed a sin. 

Tuesday 13 December 2016

Get together parents program

Full details of get together program of parents in Pune - Registration Free