Start using all means like a newspaper, agents, matrimonial sites and technology (WhatsApps etc) in your search.

suggest you use

http://www.easynikah.in
http://www.easyrishtay.com/payment.php
http://www.simplymarry.com


here you can exchange contact numbers and start contacting groom/bride relatives. Be careful about fraud profiles.



Showing posts with label Nikah. Show all posts
Showing posts with label Nikah. Show all posts

Tuesday 20 December 2016

hadith-kisi-bhi-shaksh-ko-apne-bhai-ke

Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: kisi bhi shaksh ko apne bhai ke Paigham–e- nikah par paigham nahi bhejna chahiye 
Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne Kisi ke bhaav(boli)  par bhaav (boli) laganey (Jiyada keemat offer karne) se mana farmaya hai aur kisi shaksh ko apney bhai ke Paigham–e- nikah par paigham nahi bhejna chahiye yahan tak ki paigham bhejne wala apna irada badal le ya use  paigham bhejne ki ijazat de de.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5142 
----------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Umar Radi AllahuAnhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam decreed that one should not try to cancel a bargain already agreed upon between some other persons (by offering a bigger price). And a man should not ask for the hand of a girl who is already engaged to his Muslim brother, unless the first suitor gives her up, or allows him to ask for her hand.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 73

Monday 19 December 2016

hadith-waleema-ka-wo-khana-badtareen

Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Waleema ka wo khana badtareen khana hai jismein sirf maaldaron ko dawat di jaye
Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki waleema ka wo khana badtareen khana hai jismein sirf maaldaron ko dawat di jaye aur mohtajon ko na khilaya jaye aur jisney waleema ki dawat Qubul karney se inkar kiya usney ALLAH aur uskey Rasool (Sallallahu Alaihi wasallam) ki nafarmani ki
Sahih Bukhari, Vol 6, 5177
-----------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhu: The worst food is that of a wedding banquet to which only the rich are invited while the poor are not invited. And he who refuses an invitation (to a banquet) disobeys ALLAH and His Apostle.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 106

Sunday 18 December 2016

Hadith: Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai

Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai uske maal ki wajah se , uske khandani sharaf ki wajah se, aur uski khubsurti ki wajah se aur uske Deen ki wajah se , to tum Deendar (religious) aurat se nikaah karke kaamyabi haasil karo aur aisa na karoge to tumhare  hathon ko mitti lagegi (yani baad mein tumhe nadamat hogi)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5090

------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam said, "A woman is married for four things, i.e., her wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 27: